kitni dilkash hayat hoti hai
kitnī dilkash hayāt hotī hai
jab kahīñ dil kī baat hotī hai
ġham kī tārīkiyoñ meñ raushan-tar
un ke va.ade kī raat hotī hai
kis ne apnā ma.aal dekhā hai
zindagī be-sabāt hotī hai
jo anā ke asiir hote haiñ
un kā mehvar to zaat hotī hai
vus.at-e-qalb kī bisāt na pūchh
is meñ ik kā.enāt hotī hai
lamha lamha sukūñ nahīñ hotā
jab adāvat kī baat hotī hai
hai yaqīñ baa'd zindagī ke kahīñ
ġham se 'sādiq' najāt hotī hai
kitni dilkash hayat hoti hai
jab kahin dil ki baat hoti hai
gham ki tarikiyon mein raushan-tar
un ke wade ki raat hoti hai
kis ne apna maal dekha hai
zindagi be-sabaat hoti hai
jo ana ke asir hote hain
un ka mehwar to zat hoti hai
wusat-e-qalb ki bisat na puchh
is mein ek kaenat hoti hai
lamha lamha sukun nahin hota
jab adawat ki baat hoti hai
hai yaqin ba'd zindagi ke kahin
gham se 'sadiq' najat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.