kitni hi be-zarar sahi teri KHarabiyan
kitnī hī be-zarar sahī terī ḳharābiyāñ
'bāsir' ḳharābiyāñ to haiñ phir bhī ḳharābiyāñ
hālat jagah badalne se badlī nahīñ mirī
hotī haiñ har jagah kī kuchh apnī ḳharābiyāñ
tū chāhtā hai apnī na.ī ḳhūbiyoñ kī daad
mujh ko aziiz terī purānī ḳharābiyāñ
jūñhī ta.alluqāt kisī se hue ḳharāb
saare jahāñ kī us meñ mileñgī ḳharābiyāñ
sarkār kā hai apnā hī me.ār-e-intiḳhāb
yaaro kahāñ kī ḳhūbiyāñ kaisī ḳharābiyāñ
aadam ḳhatā kā putlā hai gar maan leñ ye baat
nikleñgī is ḳharābī se kitnī ḳharābiyāñ
un hastiyoñ kī raah pe dekheñge chal ke ham
jin meñ na thiiñ kisī bhī tarah kī ḳharābiyāñ
bo.eñge apne baaġh meñ sab ḳhūbiyoñ ke biij
jaḌ se ukhāḌ pheñkeñge saarī ḳharābiyāñ
'bāsir' keī shaḳhsiyat bhī ajab hai ki is meñ haiñ
kuchh ḳhūbiyāñ ḳharāb kuchh achchhī ḳharābiyāñ
kitni hi be-zarar sahi teri KHarabiyan
'basir' KHarabiyan to hain phir bhi KHarabiyan
haalat jagah badalne se badli nahin meri
hoti hain har jagah ki kuchh apni KHarabiyan
tu chahta hai apni nai KHubiyon ki dad
mujh ko aziz teri purani KHarabiyan
junhi talluqat kisi se hue KHarab
sare jahan ki us mein milengi KHarabiyan
sarkar ka hai apna hi mear-e-intiKHab
yaro kahan ki KHubiyan kaisi KHarabiyan
aadam KHata ka putla hai gar man len ye baat
niklengi is KHarabi se kitni KHarabiyan
un hastiyon ki rah pe dekhenge chal ke hum
jin mein na thin kisi bhi tarah ki KHarabiyan
boenge apne bagh mein sab KHubiyon ke bij
jaD se ukhaD phenkenge sari KHarabiyan
'basir' kei shaKHsiyat bhi ajab hai ki is mein hain
kuchh KHubiyan KHarab kuchh achchhi KHarabiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.