kitni kam-baKHt ye jawani hai
kitnī kam-baḳht ye javānī hai
aaj tak koī baat maanī hai
muflisī aur naujavānī hai
kis qadar dukh-bharī kahānī hai
un kī aamad hai sochtā huuñ baat
kyā chhupānī hai kyā batānī hai
ḳhadsha-e-marg to hai lā-hāsil
maut to maut ko bhī aanī hai
ashk samjho to ḳhuun hai dil kā
kuchh na samjho to sirf paanī hai
un ke hoñToñ se phuul jhaḌte haiñ
baat karnā bhī gul-fishānī hai
husn to hai zuhūr-e-barq-e-tūr
ishq ik ātish-e-butānī hai
shaiḳh ko kyā pilā diyā 'shāhid'
kis qadar us ko sargirānī hai
kitni kam-baKHt ye jawani hai
aaj tak koi baat mani hai
muflisi aur naujawani hai
kis qadar dukh-bhari kahani hai
un ki aamad hai sochta hun baat
kya chhupani hai kya batani hai
KHadsha-e-marg to hai la-hasil
maut to maut ko bhi aani hai
ashk samjho to KHun hai dil ka
kuchh na samjho to sirf pani hai
un ke honTon se phul jhaDte hain
baat karna bhi gul-fishani hai
husn to hai zuhur-e-barq-e-tur
ishq ek aatish-e-butani hai
shaiKH ko kya pila diya 'shahid'
kis qadar us ko sargirani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.