kitni mahbub thi zindagi kuchh nahin kuchh nahin
kitnī mahbūb thī zindagī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
kyā ḳhabar thī is anjām kī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
aaj jitne barādar mile chāk-chādar mile
kaisī phailī hai dīvāngī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
pech-dar-pech chalte ga.e ham nikalte ga.e
jaane kyā thī galī-dar-galī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
mauj-dar-mauj ik fāsla rafta rafta baḌhā
kashtī āñkhoñ se ojhal huī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
saath mere koī aur thā ai havā ai havā
naam tū jis kā letī rahī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
shaam sākit shajar-dar-shajar rahguzar rahguzar
aañkh maltī uThī tīrgī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
jā ke tū dil meñ dar aa.egā mere ghar aa.egā
hai judā.ī ghaḌī do ghaḌī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
kitni mahbub thi zindagi kuchh nahin kuchh nahin
kya KHabar thi is anjam ki kuchh nahin kuchh nahin
aaj jitne baradar mile chaak-chadar mile
kaisi phaili hai diwangi kuchh nahin kuchh nahin
pech-dar-pech chalte gae hum nikalte gae
jaane kya thi gali-dar-gali kuchh nahin kuchh nahin
mauj-dar-mauj ek fasla rafta rafta baDha
kashti aankhon se ojhal hui kuchh nahin kuchh nahin
sath mere koi aur tha ai hawa ai hawa
nam tu jis ka leti rahi kuchh nahin kuchh nahin
sham sakit shajar-dar-shajar rahguzar rahguzar
aankh malti uThi tirgi kuchh nahin kuchh nahin
ja ke tu dil mein dar aaega mere ghar aaega
hai judai ghaDi do ghaDi kuchh nahin kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.