kitni majbur hai mat puchhiye haalat meri
kitnī majbūr hai mat pūchhiye hālat merī
jāgtī aañkh meñ so jaatī hai qismat merī
raat ke pichhle pahar fikr se laḌte laḌte
aaj phir haar ga.ī niiñd se rāhat merī
aarzū ishq vafā lutf-o-karam be-ma.anī
haa.e kis kaam kī hai dosto daulat merī
suraḳh-rū hone hī vaalī hai ḳhatā-e-gandum
uThne vaale hai pashemānī se shohrat merī
DhūñDte DhūñDte pahuñchī hai tirī kaliyoñ tak
ḳhaak dar dar kī uḌātī huī ulfat merī
kitni majbur hai mat puchhiye haalat meri
jagti aankh mein so jati hai qismat meri
raat ke pichhle pahar fikr se laDte laDte
aaj phir haar gai nind se rahat meri
aarzu ishq wafa lutf-o-karam be-mani
hae kis kaam ki hai dosto daulat meri
suraKH-ru hone hi wali hai KHata-e-gandum
uThne wale hai pashemani se shohrat meri
DhunDte DhunDte pahunchi hai teri kaliyon tak
KHak dar dar ki uDati hui ulfat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.