kitni mushkil se usko DhunDa hai
kitnī mushkil se us ko DhūñDā hai
be-sabab dil kahāñ ye TuuTā hai
achchhī sūrat kā kyā kareñ charchā
achchhī ḳhushbū se phuul biktā hai
us ke bachchoñ kī aisī sīrat hai
vaise īñTeñ haiñ jaisā ḳhāñcha hai
us ke vā'de kī kyā maiñ baat karūñ
kachchā dhāga bhī us se pakkā hai
terī zulfoñ se bas rihā ho kar
maiñ ne piñjre kā dard samjhā hai
jab maiñ phūloñ ko pyaar kartā huuñ
mujh ko titlī se pyaar miltā hai
pahle mahñgī thī pyaar kī daulat
ab to daulat se pyaar sastā hai
us kī fitrat meñ baat aisī hai
jo burā hai to vo bhī achchhā hai
dekhne vaalā ho agar 'āqib'
zaḳhm āñkhoñ meñ dekh saktā hai
kitni mushkil se us ko DhunDa hai
be-sabab dil kahan ye TuTa hai
achchhi surat ka kya karen charcha
achchhi KHushbu se phul bikta hai
us ke bachchon ki aisi sirat hai
waise inTen hain jaisa KHancha hai
us ke wa'de ki kya main baat karun
kachcha dhaga bhi us se pakka hai
teri zulfon se bas riha ho kar
main ne pinjre ka dard samjha hai
jab main phulon ko pyar karta hun
mujh ko titli se pyar milta hai
pahle mahngi thi pyar ki daulat
ab to daulat se pyar sasta hai
us ki fitrat mein baat aisi hai
jo bura hai to wo bhi achchha hai
dekhne wala ho agar 'aqib'
zaKHm aankhon mein dekh sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.