kitni sachchai kis KHabar mein hai
kitnī sachchā.ī kis ḳhabar meñ hai
ye to aḳhbār kī nazar meñ hai
ghar meñ rahnā tumheñ nahīñ aatā
varna saarā sukūn ghar meñ hai
āsmāñ ek sā hai sab ke liye
farq terī mirī nazar meñ hai
zahr itnā to saañp meñ bhī nahīñ
zahr jitnā tumhāre Dar meñ hai
har qadam par bhale hoñ mai-ḳhāne
ek masjid bhī rahguzar meñ hai
maiñ jo chāhūñ to phūñk duuñ duniyā
aag itnī mire jigar meñ hai
merī ḳhvāhish hai chāñd chhūne kī
yojnā aaj bhī adhar meñ hai
kitni sachchai kis KHabar mein hai
ye to aKHbar ki nazar mein hai
ghar mein rahna tumhein nahin aata
warna sara sukun ghar mein hai
aasman ek sa hai sab ke liye
farq teri meri nazar mein hai
zahr itna to sanp mein bhi nahin
zahr jitna tumhaare Dar mein hai
har qadam par bhale hon mai-KHane
ek masjid bhi rahguzar mein hai
main jo chahun to phunk dun duniya
aag itni mere jigar mein hai
meri KHwahish hai chand chhune ki
yojna aaj bhi adhar mein hai
- Book : Main Ashok Hoon Main Mizaj Bhee (Pg. 65)
- Author : Ashok Mizaj Badr
- Publication : Shere Acadami, Bhopal (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.