kitni shaklon mein Dhal gaya hun main
kitnī shakloñ meñ Dhal gayā huuñ maiñ
jal gayā huuñ pighal gayā huuñ maiñ
ek qatra huuñ be-haqīqat sā
kitne dariyā nigal gayā huuñ maiñ
raat jugnūñ kuchh is tarah chamke
un kī hiddat se jal gayā huuñ maiñ
but kabhī thā maiñ ek patthar kā
terī ḳhātir pighal gayā huuñ maiñ
ek manzil kī aarzū le kar
kitne raste badal gayā huuñ maiñ
zindagī ek ḳhvāb hai 'sāhil'
dekh kar kyoñ machal gayā huuñ maiñ
kitni shaklon mein Dhal gaya hun main
jal gaya hun pighal gaya hun main
ek qatra hun be-haqiqat sa
kitne dariya nigal gaya hun main
raat jugnun kuchh is tarah chamke
un ki hiddat se jal gaya hun main
but kabhi tha main ek patthar ka
teri KHatir pighal gaya hun main
ek manzil ki aarzu le kar
kitne raste badal gaya hun main
zindagi ek KHwab hai 'sahil'
dekh kar kyon machal gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.