kitni soi hui Tison ko jagati hai hawa
kitnī soī huī Tīsoñ ko jagātī hai havā
jab bhī pūrab kī taraf se kabhī aatī hai havā
pahle aatī thī to kuchh phuul khilā jaatī thī
ab sunā hai ki bahut ḳhaak uḌātī hai havā
mahbas-e-jism meñ ham qaid haiñ ik muddat se
aur bāhar se hameñ roz bulātī hai havā
aur tum log bhī ḳhemoñ meñ chhupoge kab tak
ban ke āñdhī abhī sahrāoñ se aatī hai havā
merī nas-nas meñ koī yaad sulag uThtī hai
sard mausam meñ bahut aag lagātī hai havā
kaun mahfūz kitāboñ meñ karegā is ko
jo kahānī hameñ din raat sunātī hai havā
kitni soi hui Tison ko jagati hai hawa
jab bhi purab ki taraf se kabhi aati hai hawa
pahle aati thi to kuchh phul khila jati thi
ab suna hai ki bahut KHak uDati hai hawa
mahbas-e-jism mein hum qaid hain ek muddat se
aur bahar se hamein roz bulati hai hawa
aur tum log bhi KHemon mein chhupoge kab tak
ban ke aandhi abhi sahraon se aati hai hawa
meri nas-nas mein koi yaad sulag uThti hai
sard mausam mein bahut aag lagati hai hawa
kaun mahfuz kitabon mein karega is ko
jo kahani hamein din raat sunati hai hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.