kitni tasir hai gulabon mein
kitnī tāsīr hai gulāboñ meñ
tum chale aa.e ho ḳhayāloñ meñ
baad muddat ke tum ko jab dekhā
zahan uljhā ka.ī savāloñ meñ
ret hī hāsil-e-tamannā thī
aur kuchh bhī na thā sarāboñ meñ
bel jaise shajar se lipTī ho
yuuñ basī hai vo mere ḳhvāboñ meñ
ye mohabbat ke hī karishme haiñ
rāste ban ga.e chaTānoñ meñ
muddatoñ se talāsh jaarī thī
mil ga.e tum mujhe kitāboñ meñ
kitni tasir hai gulabon mein
tum chale aae ho KHayalon mein
baad muddat ke tum ko jab dekha
zahan uljha kai sawalon mein
ret hi hasil-e-tamanna thi
aur kuchh bhi na tha sarabon mein
bel jaise shajar se lipTi ho
yun basi hai wo mere KHwabon mein
ye mohabbat ke hi karishme hain
raste ban gae chaTanon mein
muddaton se talash jari thi
mil gae tum mujhe kitabon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.