kitnon ko dastiyab hai kitnon ka rizq hai
kitnoñ ko dastiyāb hai kitnoñ kā rizq hai
ik chāñd hai jo hijr kī rātoñ kā rizq hai
fāqoñ se mar na jaa.eñ unheñ ab dikhā.ī de
ye jaan le ki tū mirī āñkhoñ kā rizq hai
us nabz kī baqā ko zarūrī hai terā lams
ḳhushbū tire vajūd kī sāñsoñ kā rizq hai
dekhegā ye hujūm mujhe kis nigāh se
ye ḳhauf apne aap meñ nasloñ kā rizq hai
vo maḳhmalī se ḳhvāb to ab ḳhvāb ho ga.e
le de ke iztirāb hī ġhazloñ kā rizq hai
kitnon ko dastiyab hai kitnon ka rizq hai
ek chand hai jo hijr ki raaton ka rizq hai
faqon se mar na jaen unhen ab dikhai de
ye jaan le ki tu meri aankhon ka rizq hai
us nabz ki baqa ko zaruri hai tera lams
KHushbu tere wajud ki sanson ka rizq hai
dekhega ye hujum mujhe kis nigah se
ye KHauf apne aap mein naslon ka rizq hai
wo maKHmali se KHwab to ab KHwab ho gae
le de ke iztirab hi ghazlon ka rizq hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.