kitnon ne jaan war di hirni si chaal par
kitnoñ ne jaan vaar dī hirnī sī chaal par
kitne hī log mar miTe us ḳhush-ḳhisāl par
mujh ko ḳhabar milī hai ki pariyoñ ke des meñ
hote haiñ roz tabsire us ke jamāl par
maiñ bhī savāl pūchh ke ḳhāmosh ho gayā
us ne bhī chup hī saadh lī mere savāl par
bhañvrā kisī gulāb ko chhūtā hai jis tarah
rakhtā huuñ apne hoñT yuuñ dilbar ke gaal par
kis ke zarā se zikr pe sāñseñ mahak uThīñ
chehre ke rang khil uThe kis ke ḳhayāl par
paḌhte haiñ log aaj bhī ulfat kī dāstāñ
likhte haiñ log aaj bhī hijr-o-visāl par
chhānī haiñ us ne jā-ba-jā sahrā kī pastiyāñ
pahuñchā hai ishq phir kahīñ auj-e-kamāl par
haarā huuñ is dilerī se laḌtā huā 'zakī'
dushman bhī pur-malāl hai mere zavāl par
kitnon ne jaan war di hirni si chaal par
kitne hi log mar miTe us KHush-KHisal par
mujh ko KHabar mili hai ki pariyon ke des mein
hote hain roz tabsire us ke jamal par
main bhi sawal puchh ke KHamosh ho gaya
us ne bhi chup hi sadh li mere sawal par
bhanwra kisi gulab ko chhuta hai jis tarah
rakhta hun apne honT yun dilbar ke gal par
kis ke zara se zikr pe sansen mahak uThin
chehre ke rang khil uThe kis ke KHayal par
paDhte hain log aaj bhi ulfat ki dastan
likhte hain log aaj bhi hijr-o-visal par
chhani hain us ne ja-ba-ja sahra ki pastiyan
pahuncha hai ishq phir kahin auj-e-kamal par
haara hun is dileri se laDta hua 'zaki'
dushman bhi pur-malal hai mere zawal par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.