kiya aankhon ko nazr uski kaha dil hai so wo bahla
kiya aankhon ko nazr uski kaha dil hai so wo bahla
Fattavat Aurangabadi
MORE BYFattavat Aurangabadi
kiyā āñkhoñ ko nazr us kī kahā dil hai so vo bahlā
huā huuñ sarf-e-farmā.ish kabhī ye lā kabhī vo lā
jo ḳhush-chashmoñ kī ulfat meñ diyā barbād jī apnā
lagāo us kī turbat par lajā kar nargis-e-shahlā
gayā huuñ bhuul apne ko payām-o-nāma kyā bhejūñ
ḳhayāl-e-dil kā qāsid in dinoñ meñ aah kyoñ chahlā
ye tifl-e-ashk dāman-gīr hai har aan meñ mujh se
bahāne se maiñ laḌke ko rakhūñ kis tarah kar bahlā
tumheñ ārām zindāñ meñ divānoñ is sabab se hai
diyā zanjīr neñ shāyad tumhāre paañv ko sahlā
junūñ ke ilm ko aalim huuñ merā rutba mat pūchho
ki majnūñ dars-e-vahshat kā mire shāgird hai pahlā
kiya aankhon ko nazr us ki kaha dil hai so wo bahla
hua hun sarf-e-farmaish kabhi ye la kabhi wo la
jo KHush-chashmon ki ulfat mein diya barbaad ji apna
lagao us ki turbat par laja kar nargis-e-shahla
gaya hun bhul apne ko payam-o-nama kya bhejun
KHayal-e-dil ka qasid in dinon mein aah kyon chahla
ye tifl-e-ashk daman-gir hai har aan mein mujh se
bahane se main laDke ko rakhun kis tarah kar bahla
tumhein aaram zindan mein diwanon is sabab se hai
diya zanjir nen shayad tumhaare panw ko sahla
junun ke ilm ko aalim hun mera rutba mat puchho
ki majnun dars-e-wahshat ka mere shagird hai pahla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.