kiya gham ne sarayat be-nihayat
kiyā ġham ne sarāyat be-nihāyat
karūñ kis siiñ shikāyat be-nihāyat
hamāre qatl par muftī ne ġham ke
nikālā hai rivāyat be-nihāyat
tū apne ġhamza-e-ḳhūnīñ kī zālim
abas mat kar himāyat be-nihāyat
tire ruḳh par hujūm-e-ḳhāl-o-ḳhat na.iiñ
ki haiñ mus.haf meñ aayat be-nihāyat
kiyā hai ishq ke haadī ne mujh kuuñ
mohabbat kī hidāyat be-nihāyat
shakar-lab ne nigāh-e-dilbarī siiñ
kiyā mujh par ināyat be-nihāyat
'sirāj' ab dāstān-e-shauq bas kar
ki bejā hai hikāyat be-nihāyat
kiya gham ne sarayat be-nihayat
karun kis sin shikayat be-nihayat
hamare qatl par mufti ne gham ke
nikala hai riwayat be-nihayat
tu apne ghamza-e-KHunin ki zalim
abas mat kar himayat be-nihayat
tere ruKH par hujum-e-KHal-o-KHat nain
ki hain mushaf mein aayat be-nihayat
kiya hai ishq ke hadi ne mujh kun
mohabbat ki hidayat be-nihayat
shakar-lab ne nigah-e-dilbari sin
kiya mujh par inayat be-nihayat
'siraj' ab dastan-e-shauq bas kar
ki beja hai hikayat be-nihayat
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 361)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.