kiya hai din-dar us sanam ko hazaron tufan uTha-uTha kar
kiyā hai dīñ-dār us sanam ko hazāroñ tūfāñ uThā-uThā kar
lagā.īñ vo tohmateñ ki bolā ḳhudā-ḳhudā kar ḳhudā-ḳhudā kar
tirī mohabbat ne maar Daalā hazār iizā se mujh ko zālim
rulā-rulā kar ghulā-ghulā kar jalā-jalā kar miTā-miTā kar
sharāb-ḳhāna hai ye to zāhid tilism-ḳhāna nahīñ jo TuuTe
ki tauba karte ga.ī hai tauba abhī yahāñ se shikast pā kar
nigah ko bebākiyāñ sikhāo hijāb-e-sharm-o-hayā uThāo
bhulā ke maarā to ḳhaak maarā lagāo choTeñ jatā-jatā kar
na har bashar kā jamāl aisā na har farishte kā haal aisā
kuchh aur se aur ho gayā tū mirī nazar meñ samā-samā kar
ilāhī qāsid kī ḳhair guzre ki aaj kūche se fitna-gar ke
sabā nikaltī hai laḌkhaḌā kar nasīm chaltī hai thartharā kar
janāb-e-sultān-e-ishq vo hai kare jo ai 'dāġh' ik ishāra
farishte hāzir hoñ dast-basta adab se gardan jhukā jhukā kar
kiya hai din-dar us sanam ko hazaron tufan uTha-uTha kar
lagain wo tohmaten ki bola KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
teri mohabbat ne mar Dala hazar iza se mujh ko zalim
rula-rula kar ghula-ghula kar jala-jala kar miTa-miTa kar
sharab-KHana hai ye to zahid tilism-KHana nahin jo TuTe
ki tauba karte gai hai tauba abhi yahan se shikast pa kar
nigah ko bebakiyan sikhao hijab-e-sharm-o-haya uThao
bhula ke mara to KHak mara lagao choTen jata-jata kar
na har bashar ka jamal aisa na har farishte ka haal aisa
kuchh aur se aur ho gaya tu meri nazar mein sama-sama kar
ilahi qasid ki KHair guzre ki aaj kuche se fitna-gar ke
saba nikalti hai laDkhaDa kar nasim chalti hai tharthara kar
janab-e-sultan-e-ishq wo hai kare jo ai 'dagh' ek ishaara
farishte hazir hon dast-basta adab se gardan jhuka jhuka kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.