kiya hai kaam ye lail-o-nahaar aankhon ne
kiyā hai kaam ye lail-o-nahār āñkhoñ ne
dikhāyā jalva-e-parvardigār āñkhoñ ne
kabhī dikhāyā hai pazhmurda baaġh fasl-e-ḳhizāñ
kabhī dikhā.ī hai fasl-e-bahār āñkhoñ ne
maiñ apne dil pe ye ilzām dhar nahīñ saktā
tabāh mujh ko kiyā surma-dār āñkhoñ ne
hadīs-e-dil jo chhupāne kī laakh koshish kī
magar kiyā hai use āshkār āñkhoñ ne
huī thī maañ kī ziyārat bhī baad barsoñ ke
bahā.e ashk bhī be-iḳhtiyār āñkhoñ ne
tumhārī raah ko tak kar ai yūsuf-e-daurāñ
kiyā hai sub.h-o-masā intizār āñkhoñ ne
dikhā ke ḳhvāb-e-zuleḳhā-e-dirham-o-dīnār
kiyā hai dil ko sadā be-qarār āñkhoñ ne
tumhārī ek hī tasvīr hai jo paas mire
usī ko pyaar kiyā baar baar āñkhoñ ne
ye ashk is liye bahte haiñ merī āñkhoñ se
kiyā hai ḳhvāhish-e-dīdār-e-yār āñkhoñ ne
tum in gunāhoñ se tauba karoge kab 'nūrī'
kiye gunāh haiñ jo be-shumār āñkhoñ ne
kiya hai kaam ye lail-o-nahaar aankhon ne
dikhaya jalwa-e-parwardigar aankhon ne
kabhi dikhaya hai pazhmurda bagh fasl-e-KHizan
kabhi dikhai hai fasl-e-bahaar aankhon ne
main apne dil pe ye ilzam dhar nahin sakta
tabah mujh ko kiya surma-dar aankhon ne
hadis-e-dil jo chhupane ki lakh koshish ki
magar kiya hai use aashkar aankhon ne
hui thi man ki ziyarat bhi baad barson ke
bahae ashk bhi be-iKHtiyar aankhon ne
tumhaari rah ko tak kar ai yusuf-e-dauran
kiya hai subh-o-masa intizar aankhon ne
dikha ke KHwab-e-zuleKHa-e-dirham-o-dinar
kiya hai dil ko sada be-qarar aankhon ne
tumhaari ek hi taswir hai jo pas mere
usi ko pyar kiya bar bar aankhon ne
ye ashk is liye bahte hain meri aankhon se
kiya hai KHwahish-e-didar-e-yar aankhon ne
tum in gunahon se tauba karoge kab 'nuri'
kiye gunah hain jo be-shumar aankhon ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.