kiya ishq-e-majazi ne haqiqat aashna mujhko
kiyā ishq-e-majāzī ne haqīqat āshnā mujh ko
butoñ ne zulm vo Dhāyā ki yaad aaya ḳhudā mujh ko
duā jab dil ne kī kar de ḳhudā be-mudda.ā mujh ko
duā-e-be-asar ne haath uThā kar dī duā mujh ko
na rakhnā thā kahīñ kā bhī na rakkhā zauq-e-hastī ne
tamāshā karnā thā āḳhir tamāshā kar diyā mujh ko
na mujh se kaam duniyā ko na mere kaam kī duniyā
dil-e-nākām tū ne rakkhā ye kis kaam kā mujh ko
bahut kartā hai vaa.iz guftugū jannat kī dozaḳh kī
kahāñ pahuñchātā hai dekhūñ to ye pahuñchā huā mujh ko
azāb-e-zindagī āḳhir azāb-e-āḳhirat niklā
hazāroñ baar mar-mar ke yahāñ jiinā paḌā mujh ko
fazā himmat-shikan hai 'ḳhizr' to dil hausla-afzā
batā.eñge kahāñ tak ahl-e-fan bhī rāsta mujh ko
kiya ishq-e-majazi ne haqiqat aashna mujh ko
buton ne zulm wo Dhaya ki yaad aaya KHuda mujh ko
dua jab dil ne ki kar de KHuda be-muddaa mujh ko
dua-e-be-asar ne hath uTha kar di dua mujh ko
na rakhna tha kahin ka bhi na rakkha zauq-e-hasti ne
tamasha karna tha aaKHir tamasha kar diya mujh ko
na mujh se kaam duniya ko na mere kaam ki duniya
dil-e-nakaam tu ne rakkha ye kis kaam ka mujh ko
bahut karta hai waiz guftugu jannat ki dozaKH ki
kahan pahunchata hai dekhun to ye pahuncha hua mujh ko
azab-e-zindagi aaKHir azab-e-aKHirat nikla
hazaron bar mar-mar ke yahan jina paDa mujh ko
faza himmat-shikan hai 'KHizr' to dil hausla-afza
bataenge kahan tak ahl-e-fan bhi rasta mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.