Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kiya salam jo saqi se humne jam liya

Imdad Ali Bahr

kiya salam jo saqi se humne jam liya

Imdad Ali Bahr

MORE BYImdad Ali Bahr

    kiyā salām jo saaqī se ham ne jaam liyā

    paḌhe darūd jo pīr-e-muġhāñ naam liyā

    chah-e-zaqan meñ girā chāhtā thā dil merā

    darāz umr ho zulf-e-rasā ne thaam liyā

    kisī zor zabardast par nahīñ chalnā

    falak ne zulm kiyā kis ne intiqām liyā

    nasīb-var thī zuleḳhā jo paayā yūsuf ko

    kanīz ho ga.ī is shakl ġhulām liyā

    bharā laboñ ne barābar dam-e-masīhā.ī

    jab us ke abrūoñ ne hukm-e-qatl-e-ām liyā

    mizāj pūchhā kisī to un muñh dekhā

    kasak se haath meñ aa.e agar salām liyā

    lagāyā thā kahīñ dil ham ne vo mazā chakkhā

    zabāñ ne phir na kabhī āshiqī naam liyā

    bharā hai aañkh meñ jaadū khulā ishāre se

    zabān mizha-e-be-zabāñ se kaam liyā

    bahut kamar ke lachakne hai ḳhayāl un ko

    jo do qadam bhī chale pā.iñchoñ ko thaam liyā

    chaḌhā ḳhumār jo sar par utar ga.ī izzat

    amāma rakh ke giro sāġhar-e-mudām liyā

    uThā ke daaġh liyā haq-e-sa.ī paisā

    na murtashī tarah ham ne zar harām liyā

    havā ko jaan maiñ ne zamīn ko miTTī

    adā kiyā dam-e-ruḳhsat jo qarz daam liyā

    muaaf hai ḳhudā ne za.iif par taklīf

    sitam kiyā agar ab dast-o-pā se kaam liyā

    qasam na khā.ūñgā tīsoñ kalām ai 'bahr'

    kisī ḳhvāb meñ bosa to lā-kalām liyā

    kiya salam jo saqi se hum ne jam liya

    paDhe darud jo pir-e-mughan ka nam liya

    chah-e-zaqan mein gira chahta tha dil mera

    daraaz umr ho zulf-e-rasa ne tham liya

    kisi ka zor zabardast par nahin chalna

    falak ne zulm kiya kis ne intiqam liya

    nasib-war thi zuleKHa jo paya yusuf ko

    kaniz ho gai is shakl ka ghulam liya

    bhara labon ne barabar dam-e-masihai

    jab us ke abruon ne hukm-e-qatl-e-am liya

    mizaj puchha kisi ka to un ka munh dekha

    kasak se hath mein aae agar salam liya

    lagaya tha kahin dil hum ne wo maza chakkha

    zaban ne phir na kabhi aashiqi ka nam liya

    bhara hai aankh mein jadu khula ishaare se

    zaban ka mizha-e-be-zaban se kaam liya

    bahut kamar ke lachakne ka hai KHayal un ko

    jo do qadam bhi chale painchon ko tham liya

    chaDha KHumar jo sar par utar gai izzat

    amama rakh ke giro saghar-e-mudam liya

    uTha ke dagh liya haq-e-sai ka paisa

    na murtashi ki tarah hum ne zar haram liya

    hawa ko jaan di main ne zamin ko miTTi

    ada kiya dam-e-ruKHsat jo qarz dam liya

    muaf ki hai KHuda ne zaif par taklif

    sitam kiya agar ab dast-o-pa se kaam liya

    qasam na khaunga tison kalam ki ai 'bahr'

    kisi ka KHwab mein bosa to la-kalam liya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now