kiya tha zabt ka dawa magar nibha na sake
kiyā thā zabt kā da.avā magar nibhā na sake
ham apne dil kī lagī dil-lagī banā na sake
pahuñch ke bazm meñ yuuñ ro.e ham ki gā na sake
ġhazal to le ke ga.e the magar sunā na sake
vo lambī Dāliyāñ sarsoñ kī phuul sarsoñ ke
jab aa.e gaañv se barsoñ unheñ bhulā na sake
kisī kī bazm kā manzar jo dekh aa.ī huuñ
unheñ maiñ kaise dikhā.ūñ jo log jā na sake
na hañsiye ham pe ki ham to haiñ choT khaa.e hue
unhīñ pe roiye jo log choT khā na sake
ajiib husn hai terā ki ham tirī tasvīr
banānā chaah rahe the magar banā na sake
vo ek sub.h ko aa.ī thī ratjagoñ ke baad
phir us ke baad koī ratjagā manā na sake
jab us ne pūchhā ki kaisā mizāj hai 'anjum'
jigar meñ dard vo uTThā ki ham batā na sake
kiya tha zabt ka dawa magar nibha na sake
hum apne dil ki lagi dil-lagi bana na sake
pahunch ke bazm mein yun roe hum ki ga na sake
ghazal to le ke gae the magar suna na sake
wo lambi Daliyan sarson ki phul sarson ke
jab aae ganw se barson unhen bhula na sake
kisi ki bazm ka manzar jo dekh aai hun
unhen main kaise dikhaun jo log ja na sake
na hansiye hum pe ki hum to hain choT khae hue
unhin pe roiye jo log choT kha na sake
ajib husn hai tera ki hum teri taswir
banana chah rahe the magar bana na sake
wo ek subh ko aai thi ratjagon ke baad
phir us ke baad koi ratjaga mana na sake
jab us ne puchha ki kaisa mizaj hai 'anjum'
jigar mein dard wo uTTha ki hum bata na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.