kiye hain uzr bahane banae hain kya kya
kiye haiñ 'uzr bahāne banā.e haiñ kyā kyā
savāl-e-vasl pe vo kasmasā.e haiñ kyā kyā
vo dil pe chhā.e nazar meñ samā.e haiñ kyā kyā
ki tark-e-'ishq pe bhī yaad aa.e haiñ kyā kyā
na pūchh lutf-e-charāġhāñ uThā.e haiñ kyā kyā
hamāre dāġh-e-darūñ jagmagā.e haiñ kyā kyā
qatīl-e-ḳhanjar-e-abrū shahīd-e-nāz tire
nahā ke ḳhuun meñ gangā nahā.e haiñ kyā kyā
ham us kī yaad se dam-bhar agar hue ġhāfil
ḳhayāl-e-yār ne shāne hilā.e haiñ kyā kyā
kisī ke 'ishq meñ dāmān-e-zīst tang huā
junūñ ne chāk-e-garebāñ dikhā.e haiñ kyā kyā
huzūr-e-gul kiyā tark-e-adab jo bulbul ne
sabā ne muñh pe tamāñche lagā.e haiñ kyā kyā
sitam-shi’ār isī chashm-e-surma-sā ne tirī
na pūchh ḳhaak meñ armāñ milā.e haiñ kyā kyā
hamārī ābla-pā.ī kī aabrū ke liye
junūñ ne raah meñ kāñTe bichhā.e haiñ kyā kyā
thī āshnā kabhī saaqī kī chashm-e-bāda-farosh
piye haiñ sāġhar-e-gulgūñ pilā.e haiñ kyā kyā
mizāj-e-vaqt bhī badlā nigāh-e-dost ke saath
harīf 'ḳhār' sab apne parā.e haiñ kyā kyā
kiye hain 'uzr bahane banae hain kya kya
sawal-e-wasl pe wo kasmasae hain kya kya
wo dil pe chhae nazar mein samae hain kya kya
ki tark-e-'ishq pe bhi yaad aae hain kya kya
na puchh lutf-e-charaghan uThae hain kya kya
hamare dagh-e-darun jagmagae hain kya kya
qatil-e-KHanjar-e-abru shahid-e-naz tere
naha ke KHun mein ganga nahae hain kya kya
hum us ki yaad se dam-bhar agar hue ghafil
KHayal-e-yar ne shane hilae hain kya kya
kisi ke 'ishq mein daman-e-zist tang hua
junun ne chaak-e-gareban dikhae hain kya kya
huzur-e-gul kiya tark-e-adab jo bulbul ne
saba ne munh pe tamanche lagae hain kya kya
sitam-shi’ar isi chashm-e-surma-sa ne teri
na puchh KHak mein arman milae hain kya kya
hamari aabla-pai ki aabru ke liye
junun ne rah mein kanTe bichhae hain kya kya
thi aashna kabhi saqi ki chashm-e-baada-farosh
piye hain saghar-e-gulgun pilae hain kya kya
mizaj-e-waqt bhi badla nigah-e-dost ke sath
harif 'KHar' sab apne parae hain kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.