kiye jata jo wo jaur-o-jafa hai
kiye jaatā jo vo jaur-o-jafā hai
jafā kī bhī kuchh āḳhir intihā hai
usī ne de ke dam dil le liyā hai
qusūr is meñ batāo merā kyā hai
faqīroñ kā patā kyā pūchhte ho
jahāñ Thahre vahī rahne kī jā hai
zarā dekho to chashm-e-ġhaur se tum
yahī ā.īna-e-dil haq-numā hai
hue dāġh-e-junūñ taaza hamāre
bahār aa.ī chaman phūlā-phalā hai
tirī ḳhāk-e-qadam ai rashk aisī
marīz-e-hijr ko ḳhāk-e-shifā hai
hai ye daur-e-shabāb ai sāqī-e-dahr
pilā de mai uThī kaalī ghaTā hai
nahīñ da.avā hai qātil se kuchh apnā
mujhe to zab.h 'ḳhanjar' ne kiyā hai
kiye jata jo wo jaur-o-jafa hai
jafa ki bhi kuchh aaKHir intiha hai
usi ne de ke dam dil le liya hai
qusur is mein batao mera kya hai
faqiron ka pata kya puchhte ho
jahan Thahre wahi rahne ki ja hai
zara dekho to chashm-e-ghaur se tum
yahi aaina-e-dil haq-numa hai
hue dagh-e-junun taza hamare
bahaar aai chaman phula-phala hai
teri KHak-e-qadam ai rashk aisi
mariz-e-hijr ko KHak-e-shifa hai
hai ye daur-e-shabab ai saqi-e-dahr
pila de mai uThi kali ghaTa hai
nahin dawa hai qatil se kuchh apna
mujhe to zabh 'KHanjar' ne kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.