kiye qarar magar be-qarar hi rakkha
kiye qarār magar be-qarār hī rakkhā
hameñ to aap ne ummīd-vār hī rakkhā
pas-e-fanā bhī falak ne ġhubār hī rakkhā
na rakkhī ḳhaak na sañg-e-mazār hī rakkhā
kisī ke dard-e-judā.ī ne ham ko jiite jī
misāl-e-abr-e-siyah ashk-bār hī rakkhā
maiñ teġh-e-yār kā kyuuñ kar na dam bharūñ jis ne
maze ḳhalish ke diye dil-figār hī rakkhā
milā na chain kabhī ham ko ḳhaak ho kar bhī
falak ne dosh-e-sabā par savār hī rakkhā
ḳhayāl-e-āriz-e-rañgīñ ne roz aa aa kar
ḳhizāñ meñ bhī hameñ mahv-e-bahār hī rakkhā
kisī kī chashm-e-mukayyaf ne kyā kahīñ 'nādir'
tamām 'umr hameñ bāda-ḳhvār hī rakkhā
kiye qarar magar be-qarar hi rakkha
hamein to aap ne ummid-war hi rakkha
pas-e-fana bhi falak ne ghubar hi rakkha
na rakkhi KHak na sang-e-mazar hi rakkha
kisi ke dard-e-judai ne hum ko jite ji
misal-e-abr-e-siyah ashk-bar hi rakkha
main tegh-e-yar ka kyun kar na dam bharun jis ne
maze KHalish ke diye dil-figar hi rakkha
mila na chain kabhi hum ko KHak ho kar bhi
falak ne dosh-e-saba par sawar hi rakkha
KHayal-e-ariz-e-rangin ne roz aa aa kar
KHizan mein bhi hamein mahw-e-bahaar hi rakkha
kisi ki chashm-e-mukayyaf ne kya kahin 'nadir'
tamam 'umr hamein baada-KHwar hi rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.