kiye sajde hue kafir na kuchh dil mein zara samjhe
kiye sajde hue kāfir na kuchh dil meñ zarā samjhe
hameñ banda banāyā ai buto tum se ḳhudā samjhe
kalām-e-nā-sazā bhī jo huā sarzad sazā samjhe
vo gautam ne kahā bejā magar ham sab bajā samjhe
na dushman dost huuñ maiñ aur na begāna yagāna huuñ
jo vo samjhe to kyā samjhe to ye samjhe to kyā samjhe
kahā maiñ ne uThā do haath tum bhī merī mushkil par
to bole ham se istid.ā duā kī mudda.ā samjhe
habāb-āsā koī lahza sabāt-e-umr-e-fānī hai
jo aaqil ho vafā-e-zindagānī be-vafā samjhe
kiye sajde hue kafir na kuchh dil mein zara samjhe
hamein banda banaya ai buto tum se KHuda samjhe
kalam-e-na-saza bhi jo hua sarzad saza samjhe
wo gautam ne kaha beja magar hum sab baja samjhe
na dushman dost hun main aur na begana yagana hun
jo wo samjhe to kya samjhe to ye samjhe to kya samjhe
kaha main ne uTha do hath tum bhi meri mushkil par
to bole hum se istida dua ki muddaa samjhe
habab-asa koi lahza sabaat-e-umr-e-fani hai
jo aaqil ho wafa-e-zindagani be-wafa samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.