koh-e-KHadshat sar hua hi nahin
koh-e-ḳhadshāt sar huā hī nahīñ
paar kyā hai maiñ jāntā hī nahīñ
maiñ rukā thā to vaqt ruk jaatā
laakh rokā magar rukā hī nahīñ
kitne armāñ se khaTkhaTāyā thā
haa.e afsos dar khulā hī nahīñ
ab koī choT lag bhī jaa.e to kyā
dil meñ ab zaḳhm kī jagah hī nahīñ
ek lamha jise maiñ haar chukā
kaise kah duuñ vo merā thā hī nahīñ
jaane kyā kho gayā thā rāhoñ meñ
aaj tak jo mujhe milā hī nahīñ
lazzateñ dard meñ chhupī haiñ 'obaid'
rāhatoñ meñ koī maza hī nahīñ
koh-e-KHadshat sar hua hi nahin
par kya hai main jaanta hi nahin
main ruka tha to waqt ruk jata
lakh roka magar ruka hi nahin
kitne arman se khaTkhaTaya tha
hae afsos dar khula hi nahin
ab koi choT lag bhi jae to kya
dil mein ab zaKHm ki jagah hi nahin
ek lamha jise main haar chuka
kaise kah dun wo mera tha hi nahin
jaane kya kho gaya tha rahon mein
aaj tak jo mujhe mila hi nahin
lazzaten dard mein chhupi hain 'obaid'
rahaton mein koi maza hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.