kohkan aashiq raha na qais diwana raha
kohkan aashiq raha na qais diwana raha
Hassamuddin Haider Nami
MORE BYHassamuddin Haider Nami
kohkan āshiq rahā na qais dīvāna rahā
ab zabān-zad-ḳhalq to apnā hī afsāna rahā
dekh kar kahte haiñ sab abrū o chashm-e-mast-e-yār
kyūñki mehrāb-e-haram ke nīche mai-ḳhāna rahā
kis tarah se ye nagar ai ham-nafas ābād ho
barsoñ shahr-e-dil pe jaish-e-ishq kā thāna rahā
nit rahe vābasta-e-zanjīr-e-zulf-e-mahvishāñ
firqa ushshāq meñ apnā yahī baanā rahā
garche ḳhvāb-o-ḳhur se hijrāñ meñ hue fāriġh vale
shab kī bedārī rahī aur un ko ġham khānā rahā
tāqat-o-sabr-o-ḳhirad to de chuke kab ke javāb
hijr meñ ab ek baaqī ham ko mar jaanā rahā
dil ulajhtā hai mirā jaldī batā mashshāta aaj
der tak zulfoñ meñ us kī kis liye shāna rahā
ham to aql-o-hosh ke 'nāmī' ke qaa.il haiñ ki ye
umr bhar husn-e-parī-rūoñ kā dīvāna rahā
kohkan aashiq raha na qais diwana raha
ab zaban-zad-KHalq to apna hi afsana raha
dekh kar kahte hain sab abru o chashm-e-mast-e-yar
kyunki mehrab-e-haram ke niche mai-KHana raha
kis tarah se ye nagar ai ham-nafas aabaad ho
barson shahr-e-dil pe jaish-e-ishq ka thana raha
nit rahe wabasta-e-zanjir-e-zulf-e-mahwishan
firqa ushshaq mein apna yahi bana raha
garche KHwab-o-KHur se hijran mein hue farigh wale
shab ki bedari rahi aur un ko gham khana raha
taqat-o-sabr-o-KHirad to de chuke kab ke jawab
hijr mein ab ek baqi hum ko mar jaana raha
dil ulajhta hai mera jaldi bata mashshata aaj
der tak zulfon mein us ki kis liye shana raha
hum to aql-o-hosh ke 'nami' ke qail hain ki ye
umr bhar husn-e-pari-ruon ka diwana raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.