kohkan-e-shab the raha shaghl sahar hone tak
kohkan-e-shab the rahā shaġhl sahar hone tak
sar paTaknā isī dīvār meñ dar hone tak
us kī aadat thī mire ḳhuun ko paanī karnā
rañg kyā kyā na uḌā aañkh ke tar hone tak
ab davā hai na duā hai na masīhā goyā
har ḳhudā.ī thī mirā ḳhūn-e-jigar hone tak
umr bhar phir se judā.ī ko mohabbat kahnā
dekhnā bhī hai zamāne kī nazar hone tak
apnī aaheñ hī subuk-gām na hone deñgī
pā-ba-zanjīr chalo ḳhatm-e-safar hone tak
shahr kā shahr huā ab to ta.āqub meñ mire
terā jaadū bhī thā mujh ḳhāk-basar hone tak
ye to maiñ thā ki tarāshā hai har ik zaḳhm se phuul
haath kaT jaate haiñ nāḳhun meñ hunar hone tak
kohkan-e-shab the raha shaghl sahar hone tak
sar paTakna isi diwar mein dar hone tak
us ki aadat thi mere KHun ko pani karna
rang kya kya na uDa aankh ke tar hone tak
ab dawa hai na dua hai na masiha goya
har KHudai thi mera KHun-e-jigar hone tak
umr bhar phir se judai ko mohabbat kahna
dekhna bhi hai zamane ki nazar hone tak
apni aahen hi subuk-gam na hone dengi
pa-ba-zanjir chalo KHatm-e-safar hone tak
shahr ka shahr hua ab to taaqub mein mere
tera jadu bhi tha mujh KHak-basar hone tak
ye to main tha ki tarasha hai har ek zaKHm se phul
hath kaT jate hain naKHun mein hunar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.