kohra oDhe Tahal rahi thi jhil pe gahri KHamoshi
kohra oDhe Tahal rahi thi jhil pe gahri KHamoshi
Khwaja tariq Usmani
MORE BYKhwaja tariq Usmani
kohra oḌhe Tahal rahī thī jhiil pe gahrī ḳhāmoshī
phir sūraj ne dhuup bichā.ī tab kuchh Thahrī ḳhāmoshī
shab kī saaḌī pahan ke siine par bal khātī hai mere
din kā āñchal oḌh ke sharmātī hai sunahrī ḳhāmoshī
gaañv kī us ḳhāmoshī meñ ik lazzat thī albelī sī
kamra kamra ghoñT rahī hai har pal shahrī ḳhāmoshī
gum ho ga.iiñ haiñ merī sadā.eñ kho ga.iiñ haiñ sab āvāzeñ
chīḳheñ tak bhī suntī nahīñ hai haa.e ye bharī ḳhāmoshī
yādeñ gavāh haiñ jazbe qaidī hijr hai munsif vaqt vakīl
roz lagātī hai is dil meñ ishq kach.harī ḳhāmoshī
man mandir meñ dhyān magan hai ik terā sachchā sādhū
aur sādhū ke phere letī jogan gahrī ḳhāmoshī
sub.h ke manzar jhulas ga.e haiñ shaam kī jhīleñ sadiyoñ duur
hijr kī dhun par raqs-kunāñ hai garm do-pahrī ḳhāmoshī
kohra oDhe Tahal rahi thi jhil pe gahri KHamoshi
phir suraj ne dhup bichai tab kuchh Thahri KHamoshi
shab ki saDi pahan ke sine par bal khati hai mere
din ka aanchal oDh ke sharmati hai sunahri KHamoshi
ganw ki us KHamoshi mein ek lazzat thi albeli si
kamra kamra ghonT rahi hai har pal shahri KHamoshi
gum ho gain hain meri sadaen kho gain hain sab aawazen
chiKHen tak bhi sunti nahin hai hae ye bhari KHamoshi
yaaden gawah hain jazbe qaidi hijr hai munsif waqt wakil
roz lagati hai is dil mein ishq kachhari KHamoshi
man mandir mein dhyan magan hai ek tera sachcha sadhu
aur sadhu ke phere leti jogan gahri KHamoshi
subh ke manzar jhulas gae hain sham ki jhilen sadiyon dur
hijr ki dhun par raqs-kunan hai garm do-pahri KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.