kohra hai ki dhundhla sa sapan oDh rakha hai
kohra hai ki dhundhla sa sapan oDh rakha hai
Vijay kumar Swarnkar
MORE BYVijay kumar Swarnkar
kohrā hai ki dhuñdhlā sā sapan oḌh rakhā hai
is bhor ne kyā nange badan oḌh rakhā hai
aa chhat pe ki khīñcheñ koī apne liye konā
aa sirf sitāroñ ne gagan oḌh rakhā hai
kyā baat hai kyoñ dhuup ne muñh Dhāñp liyā aur
ākāsh ne barsā huā ghan oḌh rakhā hai
dhun kyā hai tumheñ buujh ke lagtā hai kuchh aisā
jaise kisī naġhme ne bhajan oḌh rakhā hai
lāshoñ kī hai ye bhiiḌ zarā ġhaur se dekho
zinda ka.ī logoñ ne kafan oḌh rakhā hai
ai sard havāo ise chādar na samajhnā
fōtpath ne muflis kā badan oḌh rakhā hai
kohra hai ki dhundhla sa sapan oDh rakha hai
is bhor ne kya nange badan oDh rakha hai
aa chhat pe ki khinchen koi apne liye kona
aa sirf sitaron ne gagan oDh rakha hai
kya baat hai kyon dhup ne munh Dhanp liya aur
aakash ne barsa hua ghan oDh rakha hai
dhun kya hai tumhein bujh ke lagta hai kuchh aisa
jaise kisi naghme ne bhajan oDh rakha hai
lashon ki hai ye bhiD zara ghaur se dekho
zinda kai logon ne kafan oDh rakha hai
ai sard hawao ise chadar na samajhna
footpath ne muflis ka badan oDh rakha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.