kohsar ke daman mein hawa tez bahut hai
kohsar ke daman mein hawa tez bahut hai
Mohammad Abid Ali Abid
MORE BYMohammad Abid Ali Abid
kohsār ke dāman meñ havā tez bahut hai
par ye ki mirā dost kam-āmez bahut hai
itnā na hue hote ham afsurda vatan meñ
hijrat meñ tirī yaad ġham-añgez bahut hai
husn aatā hai ashyā meñ mauqa se mahal se
har mār-e-siyah-zulf dil-āvez bahut hai
barsāt ke mausam meñ kare naala na koī
bārish se yahāñ sail-e-ravāñ tez bahut hai
jo nuur hai chehre pe ibādat ke evaz hai
'ābid' kā to in ashyā se parhez bahut hai
kohsar ke daman mein hawa tez bahut hai
par ye ki mera dost kam-amez bahut hai
itna na hue hote hum afsurda watan mein
hijrat mein teri yaad gham-angez bahut hai
husn aata hai ashya mein mauqa se mahal se
har mar-e-siyah-zulf dil-awez bahut hai
barsat ke mausam mein kare nala na koi
barish se yahan sail-e-rawan tez bahut hai
jo nur hai chehre pe ibaadat ke ewaz hai
'abid' ka to in ashya se parhez bahut hai
- Book : Shah Par (Urdu Poetry) (Pg. 32)
- Author : Mohd. Abid Ali Abid
- Publication : Mohd. Abid Ali Abid (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.