kohsar to kahin pe samundar bhi aaenge
kohsār to kahīñ pe samundar bhī ā.eñge
apnī talāsh meñ na.e manzar bhī ā.eñge
pāmāl rāstoñ se baġhāvat nahīñ gunāh
qadreñ na.ī haiñ to na.e rahbar bhī ā.eñge
sūrat meñ rang-o-nūr kii, phūloñ kii, ham kahīñ
lauh-e-jahāñ pe harf-e-mukarrar bhī ā.eñge
nāzuk-mizāj dete haiñ har lamha imtihāñ
shīshoñ se jism ke liye patthar bhī ā.eñge
jab jab baḌhegī zulmat-e-ġhārat-gar-e-yaqīñ
āvāz-e-haq pe kaTne na.e sar bhī ā.eñge
badle haiñ husn-o-ishq to aqdār bhī na.ī
le kar na.e javāz sitamgar bhī ā.eñge
mahrūmiyāñ kahīñ to kahīñ par navāzisheñ
kyā ye savāl bar-sar-e-mahshar bhī ā.eñge
aa.e ho shahr-e-zar kī chakā-chauñd meñ magar
mahloñ ke saath raah meñ be-ghar bhī ā.eñge
māyūs ho ke johd-e-musalsal na chhoḌnā
zaḳhmoñ ke baa'd hāthoñ meñ gauhar bhī ā.eñge
haiñ pattharoñ se log hī is shahr-e-sang meñ
kyā un ke vāste na.e manzar bhī ā.eñge
devī ko munsifī kī milegā qarār tab
jab apnā sar jhukā.e sitamgar bhī ā.eñge
'ḳhālid' tirā vajūd gavārā nahīñ jinheñ
bazm-e-suḳhan meñ kyā vo suḳhanvar bhī ā.eñge
kohsar to kahin pe samundar bhi aaenge
apni talash mein nae manzar bhi aaenge
pamal raston se baghawat nahin gunah
qadren nai hain to nae rahbar bhi aaenge
surat mein rang-o-nur ki, phulon ki, hum kahin
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar bhi aaenge
nazuk-mizaj dete hain har lamha imtihan
shishon se jism ke liye patthar bhi aaenge
jab jab baDhegi zulmat-e-ghaarat-gar-e-yaqin
aawaz-e-haq pe kaTne nae sar bhi aaenge
badle hain husn-o-ishq to aqdar bhi nai
le kar nae jawaz sitamgar bhi aaenge
mahrumiyan kahin to kahin par nawazishen
kya ye sawal bar-sar-e-mahshar bhi aaenge
aae ho shahr-e-zar ki chaka-chaund mein magar
mahlon ke sath rah mein be-ghar bhi aaenge
mayus ho ke johd-e-musalsal na chhoDna
zaKHmon ke ba'd hathon mein gauhar bhi aaenge
hain pattharon se log hi is shahr-e-sang mein
kya un ke waste nae manzar bhi aaenge
dewi ko munsifi ki milega qarar tab
jab apna sar jhukae sitamgar bhi aaenge
'KHalid' tera wajud gawara nahin jinhen
bazm-e-suKHan mein kya wo suKHanwar bhi aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.