koi aa kar nahin jata dilon ke aashiyanon se
koī aa kar nahīñ jaatā diloñ ke āshiyānoñ se
rihā.ī kā koī rasta nahīñ in qaid-ḳhānoñ se
machhere kashtiyoñ meñ baiTh kar ke gā rahe haiñ giit
havā.eñ muskurā kar mil rahī haiñ bādbānoñ se
zamīñ vāloñ ne jab se āsmāñ kī or dekhā hai
parinde ḳhauf khāne lag ga.e ūñchī uḌānoñ se
ye sūkhe zaḳhm haiñ yā rang haiñ tasvīr maazī ke
mujhe guzre zamāne yaad aa.e in nishānoñ se
hameñ apnī laḌā.ī is zamīñ par ḳhud hī laḌnī hai
farishte to nahīñ aane yahāñ par āsmānoñ se
tumhārā dil yahāñ par kho gayā to kaisī hairat hai
barelī meñ to jhumke tak nikal jaate haiñ kānoñ se
koi aa kar nahin jata dilon ke aashiyanon se
rihai ka koi rasta nahin in qaid-KHanon se
machhere kashtiyon mein baiTh kar ke ga rahe hain git
hawaen muskura kar mil rahi hain baadbanon se
zamin walon ne jab se aasman ki or dekha hai
parinde KHauf khane lag gae unchi uDanon se
ye sukhe zaKHm hain ya rang hain taswir mazi ke
mujhe guzre zamane yaad aae in nishanon se
hamein apni laDai is zamin par KHud hi laDni hai
farishte to nahin aane yahan par aasmanon se
tumhaara dil yahan par kho gaya to kaisi hairat hai
bareli mein to jhumke tak nikal jate hain kanon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.