koi aa kar sikha gaya hai mujhe
koī aa kar sikhā gayā hai mujhe
zindagī jiinā aa gayā hai mujhe
merī qismat ki apnī mahfil meñ
ḳhud vo aa kar bulā gayā hai mujhe
paas aa kar koī ishāroñ meñ
rāz-e-ulfat batā gayā hai mujhe
koī kam-zarf mere jīvan par
karke ehsāñ jatā gayā hai mujhe
dhīre dhīre sahī magar yaaro
sabr karnā to aa gayā hai mujhe
koī 'santosh' ḳhvāb meñ aa kar
merī ġhazleñ sunā gayā hai mujhe
koi aa kar sikha gaya hai mujhe
zindagi jina aa gaya hai mujhe
meri qismat ki apni mahfil mein
KHud wo aa kar bula gaya hai mujhe
pas aa kar koi ishaaron mein
raaz-e-ulfat bata gaya hai mujhe
koi kam-zarf mere jiwan par
karke ehsan jata gaya hai mujhe
dhire dhire sahi magar yaro
sabr karna to aa gaya hai mujhe
koi 'santosh' KHwab mein aa kar
meri ghazlen suna gaya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.