koi aae koi jae tamasha ab nahin hoga
koī aa.e koī jaa.e tamāsha ab nahīñ hogā
mohabbat āḳhirī thī ye tamāsha ab nahīñ hogā
nikalnā chāhtā hai vo haqīqat meñ kahānī se
girā do ḳhvāb ke parde tamāsha ab nahīñ hogā
sunā hai is kahānī meñ na.e kirdār aane haiñ
sunā hai naam se mere tamāsha ab nahīñ hogā
tumhārī nazr kartī huuñ tamām ash’ār ye mere
ki safhoñ par siyāhī se tamāsha ab nahīñ hogā
sabab jo bhī ho rusvā.ī kā zimma 'ishq ke sar hai
ḳhudāyā ḳhair ho mujh se tamāsha ab nahīñ hogā
tumheñ haq hai karo shikva ḳhizāñ kī rut hai jān-e-man
qabā.eñ ham na kholeñge tamāsha ab nahīñ hogā
rahegā 'ishq mahv-e-zīst be-shak āḳhirī dam tak
magar haañ naam par us ke tamāsha ab nahīñ hogā
koi aae koi jae tamasha ab nahin hoga
mohabbat aaKHiri thi ye tamasha ab nahin hoga
nikalna chahta hai wo haqiqat mein kahani se
gira do KHwab ke parde tamasha ab nahin hoga
suna hai is kahani mein nae kirdar aane hain
suna hai nam se mere tamasha ab nahin hoga
tumhaari nazr karti hun tamam ash’ar ye mere
ki safhon par siyahi se tamasha ab nahin hoga
sabab jo bhi ho ruswai ka zimma 'ishq ke sar hai
KHudaya KHair ho mujh se tamasha ab nahin hoga
tumhein haq hai karo shikwa KHizan ki rut hai jaan-e-man
qabaen hum na kholenge tamasha ab nahin hoga
rahega 'ishq mahw-e-zist be-shak aaKHiri dam tak
magar han nam par us ke tamasha ab nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.