koi aahaT koi sargoshi sada kuchh bhi nahin
koi aahaT koi sargoshi sada kuchh bhi nahin
Bilqis Zafirul Hasan
MORE BYBilqis Zafirul Hasan
koī aahaT koī sargoshī sadā kuchh bhī nahīñ
ghar meñ ik behis ḳhamoshī ke sivā kuchh bhī nahīñ
naam ik nāyāb sā likkhā thā vo bhī miT gayā
ab hathelī par lakīroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
be-chhue ik lams kā ehsās ik ḳhāmosh baat
us ke mere biich āḳhir thā bhī kyā kuchh bhī nahīñ
dostī kaisī vafā kaisī takalluf bartaraf
aap kuchh bhī hoñ magar kyā dūsrā kuchh bhī nahīñ
dekhnā ye hai ki milne kis se pahle kaun aa.e
mere ghar se us ke ghar kā fāsla kuchh bhī nahīñ
koi aahaT koi sargoshi sada kuchh bhi nahin
ghar mein ek behis KHamoshi ke siwa kuchh bhi nahin
nam ek nayab sa likkha tha wo bhi miT gaya
ab hatheli par lakiron ke siwa kuchh bhi nahin
be-chhue ek lams ka ehsas ek KHamosh baat
us ke mere bich aaKHir tha bhi kya kuchh bhi nahin
dosti kaisi wafa kaisi takalluf bartaraf
aap kuchh bhi hon magar kya dusra kuchh bhi nahin
dekhna ye hai ki milne kis se pahle kaun aae
mere ghar se us ke ghar ka fasla kuchh bhi nahin
- Book : Aiwan (Pg. 34)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.