koi aahaT na koi Dagar samne
koī aahaT na koī Dagar sāmne
ek aks-e-safar sar-basar sāmne
āsmāñ par lahū gul bikhartā huā
aur ubhartā huā merā sar sāmne
vo akelā hazāroñ se laḌtā rahā
jang hotī rahī raat bhar sāmne
nannhī-munnī duāoñ kā hāsil hai kyā
luT gayā saarā raḳht-e-safar sāmne
TuuT kar saare manzar bikharne lage
be-tahāshā aḌe bām-o-dar sāmne
kashtiyāñ TuuT kar sab kināre lagīñ
kaise aaseb kā hai safar sāmne
koī autār to is zamīñ par mile
aa.e koī to paiġhāmbar sāmne
fāsla mere qadmoñ meñ manzil kā thā
varna rahtā kahāñ ye safar sāmne
TukḌe TukḌe badan raqs kartā huā
ik zarā sā udhar baam par sāmne
ik jhalak sabz miTTī kī āñkhoñ meñ bas
sho.ala sho.ala shafaq lamha bhar sāmne
sar pe būḌhā gagan kab se rakkhā huā
raqs-e-shams-o-qamar aañkh bhar sāmne
koī mujh meñ mujhe qaid kartā huā
pheñk kar kitne la.al-o-guhar sāmne
kyā karūñ merā man thā ḳhalāoñ meñ gum
vo dikhātā rahā sab hunar sāmne
siina siina safar ye tilism-e-hunar
dekh 'ajmal' hai raftār bhar sāmne
koi aahaT na koi Dagar samne
ek aks-e-safar sar-basar samne
aasman par lahu gul bikharta hua
aur ubharta hua mera sar samne
wo akela hazaron se laDta raha
jang hoti rahi raat bhar samne
nannhi-munni duaon ka hasil hai kya
luT gaya sara raKHt-e-safar samne
TuT kar sare manzar bikharne lage
be-tahasha aDe baam-o-dar samne
kashtiyan TuT kar sab kinare lagin
kaise aaseb ka hai safar samne
koi autar to is zamin par mile
aae koi to paighambar samne
fasla mere qadmon mein manzil ka tha
warna rahta kahan ye safar samne
TukDe TukDe badan raqs karta hua
ek zara sa udhar baam par samne
ek jhalak sabz miTTi ki aankhon mein bas
shoala shoala shafaq lamha bhar samne
sar pe buDha gagan kab se rakkha hua
raqs-e-shams-o-qamar aankh bhar samne
koi mujh mein mujhe qaid karta hua
phenk kar kitne lal-o-guhar samne
kya karun mera man tha KHalaon mein gum
wo dikhata raha sab hunar samne
sina sina safar ye tilism-e-hunar
dekh 'ajmal' hai raftar bhar samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.