koi aaj wajh-e-junun chahta hun
koī aaj vaj.h-e-junūñ chāhtā huuñ
tumheñ bhuul kar maiñ sukūñ chāhtā huuñ
zamāne kī hālat se vāqif huuñ phir bhī
na jaane ki maiñ tum ko kyuuñ chāhtā huuñ
tumhārī ḳhushī par tumheñ chhoḌ kar ab
tumhārī ḳhushī meñ sukūñ chāhtā huuñ
ḳhafā tum se ho kar ḳhafā tum ko kar ke
mazāq-e-hunar kuchh fuzūñ chāhtā huuñ
varā-e-mohabbat bhī ik zindagī hai
tumheñ phir bhī maiñ kyā kahūñ chāhtā huuñ
sitam kar ke lutf-e-karam pūchhte haiñ
ye tarz-e-karam ab fuzūñ chāhtā huuñ
badaltī nahīñ fitrat-e-dard 'anvar'
sukūñ bhī ye tarz-e-jūn.un chāhtā huuñ
koi aaj wajh-e-junun chahta hun
tumhein bhul kar main sukun chahta hun
zamane ki haalat se waqif hun phir bhi
na jaane ki main tum ko kyun chahta hun
tumhaari KHushi par tumhein chhoD kar ab
tumhaari KHushi mein sukun chahta hun
KHafa tum se ho kar KHafa tum ko kar ke
mazaq-e-hunar kuchh fuzun chahta hun
wara-e-mohabbat bhi ek zindagi hai
tumhein phir bhi main kya kahun chahta hun
sitam kar ke lutf-e-karam puchhte hain
ye tarz-e-karam ab fuzun chahta hun
badalti nahin fitrat-e-dard 'anwar'
sukun bhi ye tarz-e-junun chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.