koi aansu bahane aa gaya shayad
koī aañsū bahāne aa gayā shāyad
use merā taḌapnā bhā gayā shāyad
hañsī mere laboñ kī jis ko thī pyārī
mujhe vo dekh kar uktā gayā shāyad
vo gul jis se chaman har-pal mahaktā thā
vo zad se vaqt kī murjhā gayā shāyad
yakāyak niiñd meñ aañsū nikal aa.e
vo ḳhvāboñ meñ mujhe taḌpā gayā shāyad
milā vaise hī jaise pahle miltā thā
varaq maazī kā vo sahlā gayā shāyad
koi aansu bahane aa gaya shayad
use mera taDapna bha gaya shayad
hansi mere labon ki jis ko thi pyari
mujhe wo dekh kar ukta gaya shayad
wo gul jis se chaman har-pal mahakta tha
wo zad se waqt ki murjha gaya shayad
yakayak nind mein aansu nikal aae
wo KHwabon mein mujhe taDpa gaya shayad
mila waise hi jaise pahle milta tha
waraq mazi ka wo sahla gaya shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.