koi aansu bahata hai koi fariyaad karta hai
koī aañsū bahātā hai koī fariyād kartā hai
ye dil tujh ko bhulā kar kyoñ tujhe hī yaad kartā hai
tabāhī ke bahut saare vasīle haiñ magar ik to
mohabbat hī meñ apne aap ko barbād kartā hai
tire dil meñ mohabbat ko jagāne ke liye ab to
vo pāgal roz hī kuchh kuchh na.ī ījād kartā hai
daraḳhtoñ ko jaḌoñ se kaaT kar bante haiñ furniture
tū apnā ghar sajātā hai vo ghar ko yaad kartā hai
jalā kar bastiyoñ ko bolte phirte haiñ ye zālim
koī barbād kartā hai koī ābād kartā hai
ajab aadat sī us ko ho ga.ī hai vo kabūtar ko
pakaḌtā hai pakaḌ kar ḳhud hī phir āzād kartā hai
kahāñ jā.egā ḳhushiyoñ kā Thikānā DhūñDne 'fā.ez'
ġhamoñ se apne dil ko aaj tak vo shaad kartā he
koi aansu bahata hai koi fariyaad karta hai
ye dil tujh ko bhula kar kyon tujhe hi yaad karta hai
tabahi ke bahut sare wasile hain magar ek to
mohabbat hi mein apne aap ko barbaad karta hai
tere dil mein mohabbat ko jagane ke liye ab to
wo pagal roz hi kuchh kuchh nai ijad karta hai
daraKHton ko jaDon se kaT kar bante hain furniture
tu apna ghar sajata hai wo ghar ko yaad karta hai
jala kar bastiyon ko bolte phirte hain ye zalim
koi barbaad karta hai koi aabaad karta hai
ajab aadat si us ko ho gai hai wo kabutar ko
pakaDta hai pakaD kar KHud hi phir aazad karta hai
kahan jaega KHushiyon ka Thikana DhunDne 'faez'
ghamon se apne dil ko aaj tak wo shad karta he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.