koi aarzu ban kar shahr-e-dil mein aaya hai
koī aarzū ban kar shahr-e-dil meñ aaya hai
har nafas meñ pinhāñ hai har nazar pe chhāyā hai
bhīgī bhīgī palkoñ par āñsuoñ ke ye qatre
fart-e-shādmānī se merā dil bhar aaya hai
haañ vafā-parastī kā idda.ā nahīñ lekin
be-ḳhudī meñ bhī lab par terā naam aaya hai
chand daaġh to dekhe aur kuchh nahīñ paayā
bārhā sitamgar ne dil ko āzmāyā hai
dosh par havāoñ ke jhūmtā chalā bādal
yā kisī kā āñchal hai jo fazā pe chhāyā hai
saa.e meñ bhī zulfoñ ke kuchh sukūñ nahīñ paayā
tujh ko ai ġham-e-hastī jab gale lagāyā hai
manzil-e-tamannā meñ ab bhaTaknā kyā mā'nī
tere naqsh-e-pā ko jab rahnumā banāyā hai
uTh rahā hai siine se aahoñ kā dhuāñ 'faizī'
jab se ārzūoñ ne ye diyā jalāyā hai
koi aarzu ban kar shahr-e-dil mein aaya hai
har nafas mein pinhan hai har nazar pe chhaya hai
bhigi bhigi palkon par aansuon ke ye qatre
fart-e-shadmani se mera dil bhar aaya hai
han wafa-parasti ka iddaa nahin lekin
be-KHudi mein bhi lab par tera nam aaya hai
chand dagh to dekhe aur kuchh nahin paya
barha sitamgar ne dil ko aazmaya hai
dosh par hawaon ke jhumta chala baadal
ya kisi ka aanchal hai jo faza pe chhaya hai
sae mein bhi zulfon ke kuchh sukun nahin paya
tujh ko ai gham-e-hasti jab gale lagaya hai
manzil-e-tamanna mein ab bhaTakna kya ma'ni
tere naqsh-e-pa ko jab rahnuma banaya hai
uTh raha hai sine se aahon ka dhuan 'faizi'
jab se aarzuon ne ye diya jalaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.