koi aazar ho to baqi hai abhi kaam bahut
koī aazar ho to baaqī hai abhī kaam bahut
be-ḳhad-o-ḳhāl haiñ kohsār meñ asnām bahut
un daraḳhtoñ ke muqaddar meñ bhī likh fasl-e-yaqīñ
jin kī shāḳhoñ pe hai shādābī-e-auhām bahut
zindagī tā-had-e-imkāñ hai sarāboñ kā safar
phir bhī gunjā.ish-e-īmāñ hai bahar-gām bahut
jin kī dahlīz pe ugte haiñ anā ke sūraj
un kī har sub.h pe bhārī hai mirī shaam bahut
thā azal hī se hameñ ḳhauf-e-charāġh-e-ḳhāna
go ki mushkil na thī tā'mīr-e-dar-o-bām bahut
tum mire zikr se muhtāt rahoge kab tak
kal ke aḳhbār uchhāleñge mirā naam bahut
koi aazar ho to baqi hai abhi kaam bahut
be-KHad-o-KHal hain kohsar mein asnam bahut
un daraKHton ke muqaddar mein bhi likh fasl-e-yaqin
jin ki shaKHon pe hai shadabi-e-auham bahut
zindagi ta-had-e-imkan hai sarabon ka safar
phir bhi gunjaish-e-iman hai bahar-gam bahut
jin ki dahliz pe ugte hain ana ke suraj
un ki har subh pe bhaari hai meri sham bahut
tha azal hi se hamein KHauf-e-charagh-e-KHana
go ki mushkil na thi ta'mir-e-dar-o-baam bahut
tum mere zikr se muhtat rahoge kab tak
kal ke aKHbar uchhaalenge mera nam bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.