koi achchha nahin KHandan mein mere
koī achchhā nahīñ ḳhāndāñ meñ mire
Dor bhiḌtī rahī āsmāñ meñ mire
us kā dar bhī khulā kā khulā rah gayā
aur chiTThī paḌī hai makāñ meñ mire
maiñ bhī jī bhar ke kuchh der ro luuñ magar
koī martā nahīñ ḳhāndāñ meñ mire
ek mailā-badan bhī chalegā mujhe
ruuh Tiktī nahīñ is makāñ meñ mire
saiñkaḌoñ haiñ mare saiñkaḌoñ haiñ jiye
ek tū hī nahīñ is jahāñ meñ mire
koi achchha nahin KHandan mein mere
Dor bhiDti rahi aasman mein mere
us ka dar bhi khula ka khula rah gaya
aur chiTThi paDi hai makan mein mere
main bhi ji bhar ke kuchh der ro lun magar
koi marta nahin KHandan mein mere
ek maila-badan bhi chalega mujhe
ruh Tikti nahin is makan mein mere
sainkaDon hain mare sainkaDon hain jiye
ek tu hi nahin is jahan mein mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.