koi achchhi KHabar aati nahin hai
koī achchhī ḳhabar aatī nahīñ hai
shab-e-ġham kī sahar aatī nahīñ hai
vo mast-e-rāhat-e-ḳhvāb-e-sahar haiñ
jinheñ yād-e-safar aatī nahīñ hai
kahīñ par to yaqīnan hai ḳharābī
ba-zāhir jo nazar aatī nahīñ hai
maiñ sab kī ḳhair māñgūñ is yaqīñ se
duā to lauT kar aatī nahīñ hai
'yashab' ko dil se hijrat raas hai ab
kisī sūrat vo ghar aatī nahīñ hai
koi achchhi KHabar aati nahin hai
shab-e-gham ki sahar aati nahin hai
wo mast-e-rahat-e-KHwab-e-sahar hain
jinhen yaad-e-safar aati nahin hai
kahin par to yaqinan hai KHarabi
ba-zahir jo nazar aati nahin hai
main sab ki KHair mangun is yaqin se
dua to lauT kar aati nahin hai
'yashab' ko dil se hijrat ras hai ab
kisi surat wo ghar aati nahin hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 491)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.