koi aisa kamal ho jae
koī aisā kamāl ho jaa.e
vo mirā ham-ḳhayāl ho jaa.e
tujh se bichhḌe hue diloñ ke liye
lamha bhī māh-o-sāl ho jaa.e
un kā hai ye mo.āmla ham se
jaise shātir kī chaal ho jaa.e
vo khiche aa.eñ ḳhud-baḳhud mujh tak
ai junūñ ye kamāl ho jaa.e
nāsehā ishq tujh ko jab hogā
mujh sā terā bhī haal ho jaa.e
mujh ko jin kā ḳhayāl hai 'aḳhtar'
un ko merā ḳhayāl ho jaa.e
koi aisa kamal ho jae
wo mera ham-KHayal ho jae
tujh se bichhDe hue dilon ke liye
lamha bhi mah-o-sal ho jae
un ka hai ye moamla hum se
jaise shatir ki chaal ho jae
wo khiche aaen KHud-baKHud mujh tak
ai junun ye kamal ho jae
naseha ishq tujh ko jab hoga
mujh sa tera bhi haal ho jae
mujh ko jin ka KHayal hai 'aKHtar'
un ko mera KHayal ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.