koi alif-laila ka KHitta dashton wala ghaaron wala
koī alif-lailā kā ḳhitta dashtoñ vaalā ġhāroñ vaalā
shahr koī baġhdād-numā hai kūcha hai ‘attāroñ vaalā
Dholoñ kī raftār meñ tezī chiḌiyoñ kī chahkār meñ tezī
fasl koī hai pakne vaalī mausam hai tyauhāroñ vaalā
bhuul ga.e haiñ apnī hastī moroñ kī hai aur hī mastī
sub.h safed sī lāche vaalī laal gulābī nā’roñ vaalā
kashtī hichkoloñ meñ aa.ī mastī kyā boloñ meñ aa.ī
ye chaḌhtal dariyāoñ vaalī ye tamġha patvāroñ vaalā
jo hai paas nichhāvar kar duuñ jangal meñ mahkāreñ bhar duuñ
kastūrī kī mahak uḌā duuñ sher hai duur kachhāroñ vaalā
ek nishānī pakkī us kī aaTā us kā chakkī us kī
qufl purānī lakḌī kā hai gate baḌā darbāroñ vaalā
pakkī roTī yaad karūñgī maiñ bhī apnī jholī bharūñgī
ab shashmāhī baa'd aa.egā kātak meñ sīpāroñ vaalā
baḳht baḌā hai maiñ bhī baḌā huuñ maiñ muvājaha aage khaḌā huuñ
ghaḌī darūdoñ vaalī hai ye ḳhitta pāk-dayāroñ vaalā
apnī nīñdeñ apne sapne bartan chiin se mahñge apne
aavā apnā Tabbe uupar chakkā hai kumhāroñ vaalā
koi alif-laila ka KHitta dashton wala ghaaron wala
shahr koi baghdad-numa hai kucha hai ‘attaron wala
Dholon ki raftar mein tezi chiDiyon ki chahkar mein tezi
fasl koi hai pakne wali mausam hai tyauhaaron wala
bhul gae hain apni hasti moron ki hai aur hi masti
subh safed si lache wali lal gulabi na’ron wala
kashti hichkolon mein aai masti kya bolon mein aai
ye chaDhtal dariyaon wali ye tamgha patwaron wala
jo hai pas nichhawar kar dun jangal mein mahkaren bhar dun
kasturi ki mahak uDa dun sher hai dur kachhaaron wala
ek nishani pakki us ki aaTa us ka chakki us ki
qufl purani lakDi ka hai gate baDa darbaron wala
pakki roTi yaad karungi main bhi apni jholi bharungi
ab shashmahi ba'd aaega katak mein siparon wala
baKHt baDa hai main bhi baDa hun main muwajaha aage khaDa hun
ghaDi darudon wali hai ye KHitta pak-dayaron wala
apni ninden apne sapne bartan chin se mahnge apne
aawa apna Tabbe upar chakka hai kumhaaron wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.