koi an-dekhi faza taswir karna chahiye
koī an-dekhī fazā tasvīr karnā chāhiye
ḳhvāb kī buniyād par tāmīr karnā chāhiye
maiñ bhaTaktā phir rahā huuñ vāhimoñ ke darmiyāñ
gard lipTī ruuh kī tathīr karnā chāhiye
jin dinoñ dīvāngī Thahrī huī ho zaat meñ
ek duniyā un dinoñ tasḳhīr karnā chāhiye
jis sadā meñ sau tarah ke rañg jhilmil karte hoñ
vo sadā har haal meñ tasvīr karnā chāhiye
jald-bāzī de ga.ī hai rat-jagoñ ke silsile
faisle meñ thoḌī sī tāḳhīr karnā chāhiye
ab bagūle mujh meñ haiñ aur maiñ bagūloñ meñ 'ḳhayāl'
dasht meñ dīvāngī zanjīr karnā chāhiye
koi an-dekhi faza taswir karna chahiye
KHwab ki buniyaad par tamir karna chahiye
main bhaTakta phir raha hun wahimon ke darmiyan
gard lipTi ruh ki tathir karna chahiye
jin dinon diwangi Thahri hui ho zat mein
ek duniya un dinon tasKHir karna chahiye
jis sada mein sau tarah ke rang jhilmil karte hon
wo sada har haal mein taswir karna chahiye
jald-bazi de gai hai rat-jagon ke silsile
faisle mein thoDi si taKHir karna chahiye
ab bagule mujh mein hain aur main bagulon mein 'KHayal'
dasht mein diwangi zanjir karna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.