koi anmol shai pai hui si lag rahi hai
koī anmol shai paa.ī huī sī lag rahī hai
ki chehre par chamak aa.ī huī sī lag rahī hai
tasalsul hai ḳhunuk sāyoñ kā jo had-e-nazar tak
fazā meñ zulf lahrā.ī huī sī lag rahī hai
gayā hai kaun uTh kar aaj is bazm-e-jahāñ se
udāsī har taraf chhā.ī huī sī lag rahī hai
kahīñ ham dekhte haiñ be-hisī par ḳhauf taarī
kahīñ ġhairat bhī tharrā.ī huī sī lag rahī hai
tujhe rote hue us ne kahīñ dekhā hai shāyad
ki shabnam aaj sharmā.ī huī sī lag rahī hai
abhī kuchh der pahle is qadar ḳhushbū kahāñ thī
ye mahfil terī mahkā.ī huī sī lag rahī hai
tasavvur meñ na jaane aa gayā hai kis kā chehra
tabī.at aaj lalchā.ī huī sī lag rahī hai
koi anmol shai pai hui si lag rahi hai
ki chehre par chamak aai hui si lag rahi hai
tasalsul hai KHunuk sayon ka jo had-e-nazar tak
faza mein zulf lahrai hui si lag rahi hai
gaya hai kaun uTh kar aaj is bazm-e-jahan se
udasi har taraf chhai hui si lag rahi hai
kahin hum dekhte hain be-hisi par KHauf tari
kahin ghairat bhi tharrai hui si lag rahi hai
tujhe rote hue us ne kahin dekha hai shayad
ki shabnam aaj sharmai hui si lag rahi hai
abhi kuchh der pahle is qadar KHushbu kahan thi
ye mahfil teri mahkai hui si lag rahi hai
tasawwur mein na jaane aa gaya hai kis ka chehra
tabiat aaj lalchai hui si lag rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.