Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi apne waste mahshar uTha kar le gaya

Waliullah wali

koi apne waste mahshar uTha kar le gaya

Waliullah wali

MORE BYWaliullah wali

    koī apne vāste mahshar uThā kar le gayā

    yaanī mere ḳhvāb manzar uThā kar le gayā

    zaḳhm-ḳhurda thā yaqīnan koī ḳhushbū-āshnā

    jo lagā thā sar pe vo patthar uThā kar le gayā

    gosha gosha ā.ina-ḳhāna nazar aayā mujhe

    ḳhud ko jab bāhar se maiñ andar uThā kar le gayā

    kyuuñ sarāboñ ko samajhtā hai vo bahr-e-be-karāñ

    kyuuñ vo merī zaat paikar uThā kar le gayā

    kuchh na kuchh le kar kuchh detī hai duniyā is liye

    ḳhud-ġharaz duniyā se maiñ daftar uThā kar le gayā

    maiñ to sañg-e-mīl huuñ har rāh-rau ke vāste

    kyā milegā koī mujh ko gar uThā kar le gayā

    atlas-o-kam-ḳhvāb meñ malbūs thā jis badan

    kyuuñ mirī mailī vo chādar uThā kar le gayā

    kal talak jo kah rahā thā mere fan ko rā.egāñ

    aaj vo merā ġhazal-sāgar uThā kar le gayā

    kis ne mujh ko anjuman meñ kar diyā tanhā 'valī'

    kaun merī fikr mehvar uThā kar le gayā

    koi apne waste mahshar uTha kar le gaya

    yani mere KHwab ka manzar uTha kar le gaya

    zaKHm-KHurda tha yaqinan koi KHushbu-ashna

    jo laga tha sar pe wo patthar uTha kar le gaya

    gosha gosha aaina-KHana nazar aaya mujhe

    KHud ko jab bahar se main andar uTha kar le gaya

    kyun sarabon ko samajhta hai wo bahr-e-be-karan

    kyun wo meri zat ka paikar uTha kar le gaya

    kuchh na kuchh le kar hi kuchh deti hai duniya is liye

    KHud-gharaz duniya se main daftar uTha kar le gaya

    main to sang-e-mil hun har rah-rau ke waste

    kya milega koi mujh ko gar uTha kar le gaya

    atlas-o-kam-KHwab mein malbus tha jis ka badan

    kyun meri maili si wo chadar uTha kar le gaya

    kal talak jo kah raha tha mere fan ko raegan

    aaj wo mera ghazal-sagar uTha kar le gaya

    kis ne mujh ko anjuman mein kar diya tanha 'wali'

    kaun meri fikr ka mehwar uTha kar le gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now