koi arman hi nahin paya
koī armān hī nahīñ paayā
dil pareshān hī nahīñ paayā
ḳhatm hone lage mire kartab
un ko hairān hī nahīñ paayā
sab kī āñkheñ ḳharīd liiñ us ne
koī pahchān hī nahīñ paayā
zindagī tujh ko kitnī jaldī thī
maiñ tujhe jaan hī nahīñ paayā
kal maiñ baiThā thā kaise logoñ meñ
ḳhud ko pahchān hī nahīñ paayā
chādaroñ meñ lipaT gayā vo shahr
chādareñ taan hī nahīñ paayā
mujh ko mazlūm kyā samajhte vo
mujh ko insān hī nahīñ paayā
koi arman hi nahin paya
dil pareshan hi nahin paya
KHatm hone lage mere kartab
un ko hairan hi nahin paya
sab ki aankhen KHarid lin us ne
koi pahchan hi nahin paya
zindagi tujh ko kitni jaldi thi
main tujhe jaan hi nahin paya
kal main baiTha tha kaise logon mein
KHud ko pahchan hi nahin paya
chadaron mein lipaT gaya wo shahr
chadaren tan hi nahin paya
mujh ko mazlum kya samajhte wo
mujh ko insan hi nahin paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.