Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi arman talash-e-dost ka kyun dil mein rah jata

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

koi arman talash-e-dost ka kyun dil mein rah jata

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    koī armāñ talāsh-e-dost kyuuñ dil meñ rah jaatā

    ġhubār apnā agar gard-e-rah-e-manzil meñ rah jaatā

    nahīñ mā'lūm kis muddat se ḳhanjar tishna-e-ḳhūñ thā

    koī ḳhatra lahū kyuuñ tan-e-bismil meñ rah jaatā

    safā.ī kab thī mumkin ye ġhubār-e-dil vo kāfir hai

    mire dil se nikaltā bhī to us ke dil meñ rah jaatā

    jalā aur jal ke soz-e-rashk se dil bujh gayā fauran

    agar hotā charāġh-o-sham.a us mahfil meñ rah jaatā

    ta.assuf hai ġhubār-e-qais parvāz-e-hasrat par

    lipaT kar kaash thoḌā parda-e-mahmil meñ rah jaatā

    na detā gar sahārā kuchh umīd-e-vasl tūfāñ

    shanāvar bahr-e-ġham hasrat-e-sāhil meñ rah jaatā

    is ā.īne meñ gar vo dekh lete rū-e-anvar ko

    to kyuuñ itnā baḌā dhabba mah-e-kāmil meñ rah jaatā

    na miltā mudda.ā-e-dil diram miltā jo mun'im se

    magar ik daaġh ban kar vo kaf-e-sā.il meñ rah jaatā

    nishāñ us kahīñ miltā surāġh us kahīñ lagtā

    to apnā paañv kyuuñ thak kar rah-e-manzil meñ rah jaatā

    'nazar' ham ko 'ilāqa sher se kyā par ye hasrat hai

    na rahte ham to apnā zikr us mahfil meñ rah jaatā

    koi arman talash-e-dost ka kyun dil mein rah jata

    ghubar apna agar gard-e-rah-e-manzil mein rah jata

    nahin ma'lum kis muddat se KHanjar tishna-e-KHun tha

    koi KHatra lahu ka kyun tan-e-bismil mein rah jata

    safai kab thi mumkin ye ghubar-e-dil wo kafir hai

    mere dil se nikalta bhi to us ke dil mein rah jata

    jala aur jal ke soz-e-rashk se dil bujh gaya fauran

    agar hota charagh-o-shama us mahfil mein rah jata

    tassuf hai ghubar-e-qais ki parwaz-e-hasrat par

    lipaT kar kash thoDa parda-e-mahmil mein rah jata

    na deta gar sahaara kuchh umid-e-wasl ka tufan

    shanawar bahr-e-gham ka hasrat-e-sahil mein rah jata

    is aaine mein gar wo dekh lete ru-e-anwar ko

    to kyun itna baDa dhabba mah-e-kaamil mein rah jata

    na milta muddaa-e-dil diram milta jo mun'im se

    magar ek dagh ban kar wo kaf-e-sail mein rah jata

    nishan us ka kahin milta suragh us ka kahin lagta

    to apna panw kyun thak kar rah-e-manzil mein rah jata

    'nazar' hum ko 'ilaqa sher se kya par ye hasrat hai

    na rahte hum to apna zikr us mahfil mein rah jata

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now