koi baada-kash jise mai-kashi ka tariq-e-KHas na aa saka
koī bāda-kash jise mai-kashī kā tarīq-e-ḳhās na aa sakā
ġham-e-zindagī kī kashā-kashoñ se kabhī najāt na pā sakā
ye muqaddarāt ke sho.abde ye mire nasīb ye bebasī
ki vo pūchhne bhī lage kabhī to maiñ dard-e-dil na sunā sakā
mirī hamsarī kā ḳhayāl kyā mirī ham-rahī kā savāl kyā
rah-e-ishq kā koī rāh-rau mirī gard ko bhī na pā sakā
zar-o-sīm shohrat-o-martaba mujhe is jahāñ meñ milā na kyā
magar ek shai thī sukūn-e-dil jo maiñ zindagī meñ na pā sakā
mirī guftugū meñ vo zor thā ki suḳhan-shanās the dam-ba-ḳhud
magar un kī mahfil-e-nāz meñ maiñ zabān tak na hilā sakā
kabhī āñdhiyoñ ne uḌā diyā kabhī bijliyoñ ne jalā diyā
kisī haal meñ mirā āshiyāñ mujhe aah raas na aa sakā
kahīñ dostoñ kī tasalliyoñ se huī hai dard meñ kuchh kamī
ye to ek kahne kī baat hai koī ġham hai kis kā baTā sakā
use ai 'naresh' maiñ kyā kahūñ jo kahūñ na ishq kā mo.ajiza
ki ġham-e-jahāñ to ġham-e-jahāñ mujhe āsmāñ na miTā sakā
koi baada-kash jise mai-kashi ka tariq-e-KHas na aa saka
gham-e-zindagi ki kasha-kashon se kabhi najat na pa saka
ye muqaddaraat ke shoabde ye mere nasib ye bebasi
ki wo puchhne bhi lage kabhi to main dard-e-dil na suna saka
meri hamsari ka KHayal kya meri ham-rahi ka sawal kya
rah-e-ishq ka koi rah-rau meri gard ko bhi na pa saka
zar-o-sim shohrat-o-martaba mujhe is jahan mein mila na kya
magar ek shai thi sukun-e-dil jo main zindagi mein na pa saka
meri guftugu mein wo zor tha ki suKHan-shanas the dam-ba-KHud
magar un ki mahfil-e-naz mein main zaban tak na hila saka
kabhi aandhiyon ne uDa diya kabhi bijliyon ne jala diya
kisi haal mein mera aashiyan mujhe aah ras na aa saka
kahin doston ki tasalliyon se hui hai dard mein kuchh kami
ye to ek kahne ki baat hai koi gham hai kis ka baTa saka
use ai 'naresh' main kya kahun jo kahun na ishq ka moajiza
ki gham-e-jahan to gham-e-jahan mujhe aasman na miTa saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.